Check karnay hain k send huay hain ya nahi Mubtilat roza



Download 1,42 Mb.
bet38/91
Sana22.06.2017
Hajmi1,42 Mb.
#11667
1   ...   34   35   36   37   38   39   40   41   ...   91

Ghusl k ahkam

User Info.

altaf - khojaaltaf@ymail.com - bhuj - india 

Question ID

15118 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

sistani sahab 

Question

mene gushl is tarah se kya ki pahele niyat karli aur uske bad sharmga ko dhoya us ke bad sir aur gardan ko dhoya bad me pure sharir ko do hisso me pele right aur phir left to mere gusl sahi he ya galat. Mera 2 sawal he ki gusl karte samay pimples se khoon nikle to gusl phirse karna parega ya nhi 

1)Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Ghusl e Tartibi(sequence) ii) Ghusl e Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii) Ghusl e Irtimasi daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka right(seedah) hissa or baad main left (ulta) hissa.Ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohchana wajib hay.

2)Khoon niklnay sai ghusl batil nahi hota lakin osay paak karna zaroori hai. .(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,389) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



User Info.

vaseem ahmed - 12345vaseem@gmail.com - roorkee - india 

Question ID

15137 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

roza 

Question

Kya sex karne ke bad bina nhaye roza rakh sakte he or subah nha sakte he. 

1) Ramzan ka wajib roza rakhnay k lie Fajar k waqt se phele tak ghusal karna zarori hai. Aur agar jan boojh kar fajar sai pehlay ghusl na karay hatta k waqt tang ho jae to zaroori hai k tayummum karay aur aur os din ka roza rakhay.

2) Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Shadi biah k ahkam

User Info.

Tariq Khan - tariqkhn47@gmail.com - peshawar - pakistan 

Question ID

15122 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

AssalamOAlikom Dear sir mera sawal ye hy k mera penis zara chuta hy our jensy taqat zyada hy leken may ye janna chata hon k penis chuta hone say koye masla to nahy ho ga our agar mala hota hy to please penis ko large karne ka koye tareqa bata ye.thanks 

Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada bera hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat raey day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilate roza



User Info.

khaled - loveswat1@hotmail.com - riyadh - k.s.a 

Question ID

15153 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

kya ramadan me apne bewi ke saath intercourse karna jaiz hai . Or agar koi karta hai to kitna gunah hai . 

1)Mubasharat (intercourse)roze ko batil kar de te hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1553) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

2)Jaan bouch kar roza torne k kaffara aik mahena aik din musalsal roze rakhna ya 60 sherhefaqeero ko pait bar kar khana khelana ya har faer ko 750 gram gandum , rote wagira de. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1632,1633) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

3)Ramzan ki ratoo mai jima karna jaiz hai lakin Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main biwi sai jima karna mustahabb hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Mubtilat e roza



User Info.

shoaib khan - shoaibkhansafi@yahoo.com - quetta - pakistan 

Question ID

15135 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

roza 

Question

slam ap se mera sawal ye hain ke roza mein mani ka ikhraj ho jaye to rooza kharab to nahi hota 

Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Khums


User Info.

Ghulam Ali - alibhai1433@yahoo.com - karachi - pakistan 

Question ID

15128 

Question Date

Wednesday, August 01, 2012 

Mujtahid Name

aqa sistani 

Question

may private company may job krta hou aur her month salary say kuch paisay bachata hou to kia saal guzarnay k bad un paiso per Khums wajib hai? 

(khums maal ki bachat ka (paanchwa hissa, 1/5) or twenty percent hota hai)

1) Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k khumus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums dena ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804). 3) Ayatullah Sistani(d.b) k Karachi main bohot se vakeel maujood hain.jin main se aik aqae Maulana Ali Raza Mehdavi hain.or ye Madrasa quran o Itrat Academy k principal bhi hain.or in ka contact number 021-32226948, 021-32237207 hay.(Ref:www.qoitrat.org). addres: 365/1, pire street , garden east karachi. pakistan (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  



User Info.

Hussain Raza - shra.1992@yahoo.com - Karachi - Pakistan 

Question ID

14683 

Question Date

Tuesday, July 03, 2012 

Mujtahid Name

Sistani sahab 

Question

shadi ka istekhara maa k naam se kya jata hy ya baap k naam se???? 

Istekhara karney ka tareeqa : Tasbeeh ko haat me le kar teen dafa darood parhey aur aik muth’thi tasbeeh k daano ki haath me lain aur phir do do shumaar karta jain agar akhir me aik daana baaqi bachay to is kaam ko karain aur agar do daa’nain bachein to is kaam ko na karain. (ref:sistani(d.b),website address, http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=47&sid=0&eid=0&page=2) Note : Istekhara karnay k lie kisi ka naam lenay ki zaroorat nahi hoti hai.

User Info.

raazia - raazia.hasan@gmail.com - karachi - pakistan 

Question ID

14672 

Question Date

Sunday, July 01, 2012 

Mujtahid Name

shia 

Question

kia ghusal say phela normal bath lena theek hai?ya ghusal k lea jism ka dry hona zaruri hai?..kia eyebrow bnwana and hatho k hair remove krna theek hai? plx reply zarur krega 

1) Ghele badan per ghusl karna jaiz hai.( yane jism ka dry hona zaroori nahe hai)(ref. deen k ahkaam pg no:51 ques #169)

2)Mardoo aur auratoo k lye eyebrow banwana jaiz hai.(ref. deen k ahkaam pg no:242 ques #760



)

3)Riwayat k mutabiq puray badan per noora(Badan k baal katna) lagana mustahib hai.



4)Riwayat mai takeed he k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora sai faida hasil karey (ref :web site ayat ullah sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

sanaibrar - sana_khan5375@yahoo.com - lahore - pakistan 

Question ID

13754 

Question Date

Thursday, March 08, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

sallam mari shadi ko 2 saal hony waly hn likn mari aluad nai hn ma na doctor sa b check karwaya koi faida nai howa aap plz mjy koi wazeefa batye k mari alud ho jay aap ki bri maherbani ho gi thankx  

Hamila honay k lie rehan k 7 pattoo (leaves) par surah mominoon surah # 23 ki ayat # 14 ko likhain aur aik aik kar k 7 martaba kha lain is terha 7 din karain inshallah hamal qaim ho ga. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 188) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

User Info.

Muzahir Abbas - khanjunny@yahooc.om - Hangu - Pakistan 

Question ID

17063 

Question Date

Tuesday, October 09, 2012 

Mujtahid Name

Sistani 

Question

Please poochi gai sawal ke mutabiq jawab din, Shukriya. Sawal ye hai kih kya Gai ya bhens ki qurbani ke aik hisse (jo kih aik momin aur us ki ahlekhana ka hota hai, aur 3 hisse kerke masakeen aur rishtadaron min taqseem kerna hota hai) min 2 ya 3 momin shamil ho sakti hain? 

1)Baqra eid ki Mustahabb qurbani main jaiz hay k insaan khud apni taraf say or apnay ghar walo(family members) ki taraf say 1 jaanwar ko qurbaan karay, isi terah qurbani main ka’e aafraad(many persons) ki shirkat jaiz hay.







2)Qurbani k teen hissay kia jain aik hissa apnay lie, doosra hissa baqi muslmanoo k lie aur afzal ye hai k teesra hissa gareeb muslmanooko sadqay mai dia jae. (Ref:Sistani(d.b),Manasik e haj wa mulhaqaatiha 1431 hashiyah#27, sawal#4). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

User Info.

Shams Zaheer - humdumbhai@yahoo.com - sialkot - pakistan 

Question ID

17049 

Question Date

Tuesday, October 09, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

aslamo alikum mera sawal ye hai k kia hum fajar ki namaz ki sunat ko faraz raqaat k bad parh sakty hain k nai. 

Fajar ki nafal(sunnat) namaz e fajar sai pehlay perhi jati hai laikin agar koi shakhs subah ki nafal mashriq ki surkhi zahir honay tk na parhay to is surat mai behtr ye hai k pehlay subah ki namaz parhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 760)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

maqsood - - isfhan - iran 

Question ID

14702 

Question Date

Sunday, July 08, 2012 

Mujtahid Name

shadi 

Question

muje bivi kehti hai k ghar a jao per perents kehtey hein k kaam karo,meri shadi ko 6 mahene ho gaye hain sirf 2 mahene ghar raha hoon.kaya karon? 

1) Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.

2)Aur jab bhi waldain ki taraf sai koi hokum ya roktok mohabbat ki wajah sai ho aur is ki mukhalifat sai inhain aziat hoti ho to aulad k lie un ki mukhalifat karna haram hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2382, 1387 ) Note : aap k parents ki baat manna aap k lie sirf os waqt wajib hai jab un ka hokum mohabbat ki wajah say ho aur jis ki mukhalifat sai un ko aziat ho aur mohabbat ka takaza ye hai k parents aap ko apnay sai qareeb rakhain jab k aap ka parents aap ko apnay sai door bejh rahain hain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)



Send

zangeer


User Info.

safeersayed - yuzarsif1994@gmail.com - Mumbai - india 

Question ID

33322 

Question Date

Tuesday, January 15, 2013 

Mujtahid Name

sistani 

Question

salaam ye zanjeer ka matam qama ka matam ispe koi fatwa hai kya sistani saheb k mujhe plzz bataye  

1)Zanjeer ka matam karnay mein behtar hai ke mahol (society) aur mutaarif tareeqay kay mutabiq azadari ki jay. (Ref : www.sistani.org , farsi , shaair-e-deeni , Q 11.)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

User Info.

ahmad - alkaiynat@yahoo.com - lahour - pakistan 

Question ID

14697 

Question Date

Friday, July 06, 2012 

Mujtahid Name

 

Question

agr murd anny hath se ourat to nechy toch kary or ourat orgasm ho jay too kia ghusal will wajib or not  

Download 1,42 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   34   35   36   37   38   39   40   41   ...   91




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish