Bismillahe Wa Behi Nasht’een Zaruri Tazkerah



Download 2,25 Mb.
bet24/41
Sana22.06.2017
Hajmi2,25 Mb.
#11669
1   ...   20   21   22   23   24   25   26   27   ...   41

7. Haqna lena

  1. Sayaal cheez se haqna (enaema) agarche ba amr-e-majboori aur ilaaj ki garz se liya jaaye to roze ko baatil kar deta hai.


8. Qay karna

  1. Agar rozedaar jaan bhoojh ke qay kare aur agarche woh bimaari ki wajah se aisa karne par majboor ho ooska roza baatil ho jaata hai agar sehwan ya beikhtayaar ho kar kare to koi harj nahi hai.

  2. Agarche koi shakhs jaanbhoojh ke koi aisi cheez kha le jiske baare mein oose ma’loom ho ke ooske khaane ki wajah se din mein beikhtayaar qay aayegi to ooska roza sahi hai

  3. Agar rozedaar qay rok sakta hai jabkeh oose tabayi nizaam ki tehet hi qay aa rahi ho to oose rokna zaruri nahi.

  4. Agar rozedaar ke halq mein makhkhi chali gayi hai choonanche woh halq mein itni andar chali gayi ho ke ooske nigalne ko khaana na kaha jaaye to zaruri nahi ke oose bahar nikaala jaaye aur ooska roza shai hai. Laikin agar makkhi kaafi had tak andar na gayi ho to zaruri hai ke oose baahar nikaale agarche oose qay karke hi nikaalna pade . Magar yeh ke qay karne mein rozedaar ko zar aur shadeed takleef ho aur agar woh qay na kare aur oose nigal le to ooska roza baatil ho jaayega aur agar oose qay kar ke nikaal le to bhi ooska roza baatil ho jaayega.

  5. Agar rozedaar sehwan koi chez nigal le aur oose paet mein pohoonchne se pahle oose yaad aye ke roze se hai, choonanche agar woh cheez itni niche jaa chuki hai ke ooske mede tak pohoonch jaane dene ko khana na kaha jaaye to oos cheez ka nikaalna laazim nahi hai aur ooska roza sahi hai.

  6. Agar kisi rozedaar ko yaqeen ho ke dakaar lene ki wajah se koi cheez ooske halq se baahar aa jaayegi, choonanche agar oose qay karna kaha bhi jaa sake to zaruri hai ke jaan bhoojh ke dakaar na le. Laikin agar oose yaqeen na ho to koi harj nahi hai.

  7. Agar rozedaaar dakaar le aur koi cheez ooske halq ya muh mein aa jaaye to zaruri hai ke oose uugal de aur agar woh chez beikhtiyaar paet mein chali jaaye to ooska roza sahi hai.


Oon cheezon ke ehkaam jo roze ko baatil karti hain

  1. Agar insaan jaan bhooj ke aur ikhtayaar ke sath koi aisa kaam kare jo baatil karta ho to ooska roza baatil ho jaata hai aur agar aisa koi kaam jaanbhoojh ke na kare to phir koi ishkaal nahi hai laikin agar joonub so jaaye aur ooski tafseel ke mutabiq jo massla no 1602 mein bayaan ki gayi hai subh ki azaan tak ghusl na kare to ooska roza baatil hai. Chunanche agar insaan na jaanta ho ke jo baate batayi gayi hain oon mein se ba’az roze ko baatil karti hain jabkeh na woh jaahil kaasir ho aur na hi kisi kism ke tarraddud mein hoya ke shar’ii hujjat par a’itmaad rakhta ho aur khaane peene mein jama’a ke alawa oon af’aal mein se kisi fa’el ko anjaam de to ooska roza batil nahi hota.

  2. Agar rozedaar sehwan koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta hai aur yeh samjhe hue ke oaska roza baatil ho gaya hai dobara amdan koi aisa hi kaam kare to pichle massle mein bayaan shuda hukm ooos par jaari hoga.

  3. Agar koi cheez zabardasti rozedaar ki halq mein uoondeil di jaaye to ooska roza baatil nahi hota. Laikin agar oose majboor kiya jaaye ke apne rozon ko khaana, peene ya Jama’a ke zariye baatil kare, maslan oose kaha jaaye ke agar tum ghiza nahi khaaoge to hum tumhe maali ya jaani nuqsaan pohoonchayenge aur woh nuqsaan se bachne keliye apne aap kuch kha leto ooska roza baatil ho jaayega aur oon teeno cheezon ke al’awa bhi ehtayaat ki bina par roza baatil ho jaayega.

  4. Rozedaar ko koi aisi jagah nahi jana chahiye jis ke baare mein woh jaanta ho ke log koi cheez ooske muh mein daal denge ya oose roza todne par majboor karenge aur agar aisi jagah jaaye ya ba amr-e-majboori woh khud koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta ho to ooska roza baatil ho jaata hai. Agar koi cheez ooske halq mein uoondeil de to ehtayaat-e-laazim ki bina par bhi yahi hukm hai.


Woh cheezein jo rozedaar ke liye makruh hain

  1. Rozedaar ke liye kuch cheezein makruh hai aur oon mein se kuch yeh hai.

    1. Aakh mein dawa daalna aur surma lagaana jabke ooska maza ya boo halq mein pohoonche.

    2. Har oos kaam jo majboori ka ba’es ho maslan khoon dena ya hamaam jaana.

    3. Naak mein dawa daalna jabke yeh ‘ilm na ho ke halq tak pohoonchegi aur agar yeh ‘ilm ho ke halq tak pohoonchegi to ooska ist’emaal jayez nahi .

    4. Khusboodaar paudho ko suoonghna.

    5. Aurat ka paani mein baithna.

    6. Shiyaaf ist’emaal karna ya’ni kisi khusk cheez se enaema lena.

    7. Jo libaas pehen rakha ho oose tar karna.

    8. Daat nikalwaana aur har woh kaam karna jisse muh se khoon nikale.

    9. Tar lakdi se miswaak karna.

    10. Bila wajah paani ya koi aur siyaal cheez muh mein daalna.

Aur yeh bhi makruh hai ke mani nikalne ke qasd ke baghair insaan apni biwi ka bosa le ya koi shehwat angez kaam kare.
Aise mauqe jin mein roze ki qaza aur kaffara waajib ho jaate hain

  1. Agar koi shakhs Ramadhan ke roze ko khaane, peene, Jama’a, istimna ya janabat pe baaqi rehne ki wajah se baatil kare jabke jabr aur lachaari ki bina par balkeh amdan aur ikhtiyaar se aisa kiya ho to oos par qaza ke al’awa kafffara bhi waajib hoga aur jo koi mutzakra uumoor ke al’awa kisi aur tariqe se roza baatil kare to ehyiyat-e-mustahab yeh hai ke woh qaza ke al’awa kaffara bhi de.

  2. Jin uumoor ka zikr kiya gaya hai agar koi oon mein se kis fail ko anjaam de jabke oose pukhta yaqeen ho ke oos amal se ooska roza baatil nahi hoga to oos par kaffara waajib nahi hai. Yahi hukm oos shakhs ka hai jise ma’loom hi na ho ke oospar roza waajib hai jaise woh bachha jo bulugh ke ba’d ke ibtedaayi dino mein ho.


Roze ka kaffara

  1. Ramadhan ka roze todne ke kaffarae ke taur par zaruri hai ke insaaan ek ghulaam azaad kare ya oos tariq ke mutabiq jo agle massle mein bayaan kia jaayega do mahino ka roza rakhe ya 60 faqeeron ko paet bhar ke khaana khilaaye ya har faqeer ko ek mad ya’ni 3|4 kilo ta’am ya’ni gandum ya jau ya roti waghaira de aur agar yeh af’aal anjaam dena ooske liye mumkin na ho to baqdr-e-imkaan sadqa dena zaruri hai aur agar yeh mumkin na ho to tauba aur astaghfaar kare aur ehtayaat-e-waajib yeh hai ke jis vaqt (kaffara dena ke ) qaabil ho jaaye kaffara de.

  2. Jo shakhs Ramadhan ke kafare ke taur par do maah roze rakhna chahe to zaruri hai ke ek poora mahina aur oose agle mahina ka ek din tak musalsal roze rakhe aur agar baaqi maninda roze musalsal na bhi rakhe to koi harj nahi hai.

  3. Jo shakhs Ramadhan ke roze ke kaffarae ke taur par do maah roze rakhna chahe to zaruri hai k eke woh roze aise vaqt na rakhe jiske baare mein woh jaanta hai ke ek mahine aur ek din ke darmiyaan Eid-e-Qurbaan ki tarah koi aisa din aa jaayega jiska roza rakhna haraam hai.

  4. Jis shakhs ko musalsal roze rakhna zaruri hai agar woh oon ke beech mein baghair koi uzr ke ek din ka roza nahi rakhe to zaruri hai ke dobaraa sire naw se roza rakhe.

  5. Agar oon dino ke darmiyaan jin mein musalsal roze rakhna zaruri hai, rozedaar ko koi ghair ikhtayaari uzr pesh aa jaaye,maslan Haiz ya Nifaas ya koi aisa safar jise ikhtayaar karne mein woh majboor ho. touzr ke door hone ke ba’d rozoaz sire now se shuru karna waajib nahi haibalkeh woh uzr door hone ke ba’dbaaqi mandah roze rakhe

  6. . Agar koi shakhs haraam cheez se apna roza batil kar de khawah woh cheez ba zaate khud haraam ho jaise sharaab aur zina ya kisi wajah se haraam hi jaye jaise ke halal ghiza jiska khana insaan ke liye kisi kullizar ka ba’es ho ya woh apni biwi haalat-e-haiz mein muja’maat kare to ek kaffara kaafi hai laikin ehtayaat-e-mustahab yeh hai ke majmu’an kaffara de. Y’ani ek ghulaam azaad kare, do mahine roza rakhe aur 60 faqeeron ko paet bhar kar khaana khilaaye yaa oon mein se jo kaffara mumkin ho.

  7. Agar rozedaar jaan bhoojh ke Allah(t. a) ya Rasul-e-Akram(s. a. w. s) se koi jhooti baat mansub kare to to agarche oose kaffara waajib nahi hai laikin ehtayaat-e-mustahab hai ke kaffara de.

  8. Agar rozedaar Ramadhan ke ek din mein kayi dafa’ khaaye, piyeya jam’a ya istimna kare to oon sab ke liye ek kaffara kaafi hai.

  9. Agar rozedaar Jama’a ke a’lawa koi dasra aisa kam kare jo roze ko baatil karta ho aur phir apni jauza se mujama’at bhi kare to dono ke liye ek kaffara kaafi hai.

  10. Agar rozedaar koi aaisa kaam kare jo halal ho aur roze ko baatil karta ho, maslan paani pi le aur ooske ba’d koi aisa dasra kaam kare jo haraam ho aur roze ko baatil karta ho, maslan haraam ghiza kha le to ek kaffara kaafi hai.

  11. Agar rozedaar dakaar le aur koi cheez oos ke muh mein aa jaaye to agar woh oose jaan bhoojh ke nigal le to bina-e-ehtayaat-e-waajib, oos ka roza baaatil hai aur zaruri hai ke ooski qaza kare aur kaffara bhi oospar waajib ho jaata hai aur agar oos cheez ka khana haraam ho, khoon ya aaisi koi ghiza jo ghiza ki tareef mein na aayi ho oos ke muh mein aa jaaye aur woh oose jaan bhoojh ke nigal le to behtar hai ke majmuyi kaffara de.

  12. Agar koi shakhs mannat maanne ke a’lawa khaas din roza rakhega to agar woh din jaan bhoojh ke apne roze ko baatil kar de to zaruri hai ke kafffara de ooska kaffara oosi tarah hai jaise ke mannat todne ka kaffara.

  13. Agar rozedaar ek aise shakhs ke kehne par jo kahe ke maghrib ka vaqt ho gaya hai, laikin jiske kehne se itminaan haasil na ho to, roza iftaar kar le aur ba’d mein oose pata chale ke maghrib ka vaqt nahi hua ya shak kare ke maghrib ka vaqt hua hai ya nahi to oos par qaza aur kaffara dono waajib ho jaate hain aur agar woh yeh samjhta hai ke ooski baat hujjat hai to oos par sirf qaza waajib hai.

  14. Jo shakhs jaan bhoojh ke apna roza baatil kar le aur zohur ke ba’d safar kare ya kaffare se bachne ke liye zohur se pahle safar kare to oospar se kaffara saakit nahi hota balkeh agar zohur se pahle oose ittefaqan safar karna pade tab bhi kaffara waajib hai.

  15. Agar koi shakhs jaan bhoojh ke apna roza baatil kar de aur ooske ba’d Haiz ya Nifaas ya bimaari jaise uzr paida ho jaaye to ehtayaat-e-mustahab yeh hai ke kaffara de. Khususan jab kisi tariqe se maslan dawaaiyon ke ist’emaal se khuud ko haiz ya bimaari mein mubtela kiya ho.

  16. Agar kisi shakhs ko yaqeen ko ke aaj Ramadhan ki pehli taarikh hai aur woh jaan bhooj ke oose tod de aur ba’d mein oose pata chale ke woh sha’baan ki aakhri taarikh hai to ooska kaffara waajib nahi hai.

  17. Agar koi shakhs ko shak ho ke aaj Ramadhan ki aakhri taarikh hai ya shawwal ke pehli hai aur woh jaan hboojh ke roza tod de aur ba’d mein oose pata chale ke woh shawwal ki pehli taarikh hai to ooska kaffara waajib nahi hai.

  18. Agar ek rozedaar Ramadhan mein apni biwi se Jama’a kare to agar oosne apni biwi ko majboor kiya ho to apne roze ka kaffara de aur ehtayaat ki bina par zaruri hai ke apni biwi ke roze ka bhi kaffara de aur agar biwi Jama’a pe raazi ho to ek par ek kaffara waajib ho jaata hai.

  19. Agar koi aurat apne rozedaar shauhar ko Jama’aa karne pe majboor kare to oos par shauhar ke roze ka kaffara ada karna waajib nahi hai.

  20. Agar rozedaar Ramadhan mein apni biwi ko Jama’a par majboor kare aur Jama’a ke dauraan aurat bhi Jama’a pe raazi ho jaaye to dono par ek ek kaffara waajib ho jata hai aur ehtayaat yeh hai ke mard do kaffara de.

  21. Agar rozedaar Ramadhan mein apni rozedaar biwi se jo so rahi ho Jama’a kare to oos par ek kaffara waajib ho jaata hai aur aurat ka roza sahi hai aur oos par kaffara bhi waajib nahi hai.

  22. Agar shauhar apni biwi ko ya biwi apne shauhar ko Jama’a ke al’awa koi aise kaam par majboor kare jisse roza baatil ho jaata hai to oon dono mein se kisi par bhi kaffara waajib nahi hai.

  23. Jo aadmi safar ya bimari ki wajah se roza na rakhe woh apni rozedaar biwi se Jama’a nahi kar sakta laikin agar majboor kare to kaffara mard par waajib nahi.

  24. Zaruri hai ke insaan kaffara dene mein kotahi na kare laikin fauri taur par dena zaruri nahi hai.

  25. Agar kisi shakhs par kaffara waajib ho aur woh kayi saal tak kaffara na de to oos kaffare mein koi izaafa nahi hoga.

  26. Jis shakhs par ek din ke kaffaare ke taur par 60 faqeero ko khaana khilaana zaruri ho, agar 60 faqeer maujood ho to woh yeh nahi kar sakta ke kaffara to ootna hi de lakin faqeeron ki ta’daad kam kar de. Maslan teen faqeeron mein se ek ko do mad ta’aam de sakta hai. Albatta is surat mein ehtayaat-e-waajib ki bina par zaruri hai ke jab bhi mumkin ho 30 aur faqiron ko bhi ek aur mad de.

  27. Jo shakhs Ramadhan ki roze ki qaza kare agar woh zohur ke ba’d jaan bhooj ke koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta hai to zaruri hai ke 10 faqeeron ko fardan fardan ek mad khaana de aur agar na de sakta ho to teen roze rakhe.


Woh suuratein jin mein faqt roze ki qaza waajib hai

  1. Jo suuratein bayaan ho chuki hai oon ke al’awa in chand suuraton mein insaan par sirfiroze ki qaza waajib hai aur kaffara waajib nahi hai.

(1) Ek shakhs Ramadhan ki raat mein joonub ho jaaye aur jaisa ki massla no. 1601 mein tafseel se bataya gaya hai keh subh ki adhan tak dusri neend se bedaar na ho.

(2) Roze ko baatil karne wala kam na kia ho laikin roze ki niyyat na kare ya riya kare ya roza na rakhne ka iraada kare. Isi tarah massla no. 1551 mein batayi gayi tafseel ke mutabiq kisi aise kaam ka iraada kare jo roze ko baatil karta hai.

Ramadhan mein ghusl-e-janabat karna bhool jaaye aur ek ya kayi din roze rakhta rahe.

(3) Ramadhan mein yeh tehqeeq kiye baghair ke subh hui hai ya nahi koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta ho aur ba’d mein oose pata chale ke subh ho chuki thi.

(5) Koi kahe ke subh nahi hui aur insaan ooske kehne ki bina par koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta ho aur ba’d mein pata chale ke subh ho gayi hai.

(6) Koi kahe ke subh ho gayi hai aur insaan ooske kehne par yaqeen na kare ya samjhe ke mazaq kar raha hai ya khud tehqeeq na kare aur koi aisa kaaam kare jo roze ko baatil karta ho aur ba’d mein oose pata chale ke subh ho gayi thi.

(7) Koi shakhs kisi ke kehne par jiska qaul ooske liye shar’an hujjat ho ya woh ghalti karte hue yeh samhjta ho ke ooska qaul hujjat hai, roza iftaar karle aur ba’d mein oose pata chale ke abhi maghrib ka vaqt nahi hua hai.

(8) Insaan ko yaqeen ya itminaan ho ke maghrib ho gayi hai aur woh roza iftaar kar le aur ba’d mein oose pata chale ke maghrib nahi hui thi. Laikin agar mutla’ abr aaluuda ho ya oos jaisi koi kaifiyat ho aur insaan iis gumaan ki tehet roza iftaar kar le ke maghrib ho gayi hai aur ba’d mein ma’loom ho ke maghrib nahi hui thi to ehtayaat ki bina par is suurat mein qaza waajib hai.

(9) Insaan pyaas ki wajah se kulli kare ya’ni paani muh mein lekar ghumaaye aur beikhtayaar paani paet mein chala jaaye. Laikin agar insaan bhool jaaye ke roze se hai aur paani gale se uutar jaaye ya pyaas ke al’awa kisi dusri suurat mein ke jahan kulli karna mustahab hai. Jaise wuzu karte vaqt kulli kare aur paani beikhtayaar paet mein chala jaaye to ooski qaza nahi hai.

(10) Koi shakhs majboori, izteraari ya taqqaiyye ki haalat mein roza iftaar kare jab ke majboori ya taqqaiyye mein khaya peeya ya jama’a kiya ho, ehtayaat-e-waajib ki bina par baaqi cheezon mein bhi yahi hukm hai.



  1. Agar rozedaar paani ke al’awa koi cheez muh mein dale aur woh beikhtayar paet mein chali jaaye ya naak mein paani dale aur woh beikhtayaar neeche chala jaaye to oos par qaza waajib nahi hai.

  2. Rozedaar ke liye zayaada kulliyan karna makruh hain aur agar kulli ke ba’d lo’aab-e-dehen nigalna chahe to behtar hai ke pahle teen dafa’ lo’aab thook de.

  3. Agar kisi shakhs ko ma’loom ho ke kulli karne se beikhtayaar ya bhool jaane ki wjah se paani halq mein neeche uutar jaayega to zaruri hai ke kulli na kare aur is suurat mein agar kulli kare laikin paani halq se na ootre to ehtayaat-e-waajib ki bina par qaza zaruri hai.

  4. Agar kisi shakhs ko Ramadhan mein tehqeeq karne ke ba’d ma’loom na ho ke subh ho gayi hai aur koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta hai aur ba’d mein oose pata chale ke subh ho gayi hai to ooske liye roze ki qaza karna zaruri nahi.

  5. Agar kisi shakhs ko shak ho ke maghrib ho gayi hai ya nahi to woh roza iftaar nahi kar sakta laikin agar woh shak kare ke subh ho gayi ya nahi to woh tehqeeq karne se pahle aisa kaam kar sakta hai jo roze ko baatil karta ho.


Qaza roze ke Ehkaam

  1. Agar koi deewana achchha ho jaaye to ooske liye a’lam-e-deewaangi ke rozo ki qaza waajib nahi.

  2. Agar koi kaafir musalmaan ho jaye to oos par a’lm-e-kufr ke rozo ki qaza waajib nahi laikin agar ek musalmaan kaafir ho jaaye aur phir dobara musalmaan ho jaaye to zaruri hai ke ayyam-e-kufr ke rozo ki qaza baja laaye.

  3. Jo roze masst hone ki wajah se chhoot jaaye oonki qaza baja laaye khawah jin cheez ki wajah se woh masst hua ho woh ilaaj ki garz se hi kyoon na khaayi ho.

  4. Agar koi shakhs kisi uzr ki wajah se chand dino tak roza na rakhe aur ba’d mein shak kare ke ooska uzr kis vaqt za’el hua tha to ooske liye waajib nahi hai ke jitni muddat roze na rakhne ka zayaada ehtemaal ho oos ke mutabiq qaza ba’ja laaye. Maslan agar koi shakhs Ramadhan se pahle safar kare aur oose yeh ma’loom na ho ke woh Maahe Mubaarak ki paanchvi taarikh ko safar se waapas aaya tha ya chhati ko maslan oosne maahe mubarak ki aakhir mein safar shuru kiya ho aur maahe mubarak khatm hone ke ba’d vapas aaya ho aur oose pata na ho ki 25 Ramadhan ko safar kiya tha ya 26 Ramadhan ko to dono suuraton mein woh kamtar dino ya’ni paanch rozo ki qaza kar sakta hai. Agarche Ehtayaat-e-mustahab yeh hai ke zayaada dino ya’ni 6 dino ki qaza kare.

  5. Agar kisi shakhs par chand saalo ki Ramadhan ke rozo ki qaza waajib ho Jis saal ki rozo ki qaza pahle karna chahe kar sakta hai laikin agar aakhri Ramadhan ke rozo ka vaqt tang ho maslan aakhri Ramadhan ki paanch rozo ki qaza ooske zimme ho aur aa’enda Ramadhan bhi shuru hone mein bhi paanch din reh gaye ho to behtar yeh hai ke pahle aakhri Ramadhan ke rozon ki qaza baja laaye.

  6. Agar kisi shakhs par chand saalo ke Ramadhan ke rozo ki qaza waajib ho aur woh roze ki niyyat mo’ayyin na kare ke kaoon se Ramadhan ki roze ki qaza kar raha hai to ooska shumaar aakhri Ramadhan ki qaza mein shumaar nahi hoga aur natijatan taakheer ka kaffara oos par saakit nahi hoga.

  7. Jis shakhs ne Ramadhan ka qaza roza rakha ho oos roze ko zohur se pahle tod sakta hai. Laikin agar qaza ka vaqt tang hai to behtar hai ke roze ko na tode.

  8. Agar kisi ne masst ke qaza ka roza rakha ho to behtar yeh hai ke zohur ke ba’d roza na tode.

  9. Agar koi shakhs kisi bimaari ya Haiz ya Nifaas ki wajah se Ramadhan ke roze na rakhe aur ooski muddat guzarne se pahle ke jis mein woh oon rozo ki jo oos ne nahi rake the qaza kar sakta ho mar jaaye to oon rozo ki qaza nahi hai.

  10. Agar koi shakhs bimaari ki wajah se Ramadhan mein roze na rakhe aur ooski bimaari aa’enda Ramadhan tak lambi ho jaaye to jo roze oosne na rakhe ho oonki qaza oos par waajib nahi hai aur zaruri hai ke har din ke liye ek mad(taqreeban 750 gms)ta’aam ya’ni gandum ya jow ki roti kisi faqeer ko de laikin agar kisi aur uzr maslan safar ki wajah se roze na rakhe aur ooka uzr aa’enda Ramadhan tak baqi rahe to zaruri hai ke jo roze na rakhe ho oon ki qaza kare aur ehtayaat-e-waajib yeh hai ke har ek din ke liye ek mad ta’aam bhi faqeer ko de.

  11. Agar koi shakhs bimaari ki wajah se Ramadhan ke roze na rakhe aur Ramadhan ke ba’d ooski bimaari door ho jaaye laikin koi dasra uzr laahaq ho jaaye jiski wajah se woh Ramadhan tak qaza roze na rakh sake to zaruri hai ke jo roze na rake ho oonki qaza baja laaye aur ehtayaat-e-waajib ki bina par har din ke liye ek mad ta’am faqeer ko bhi de. Yahi hukm oos vaqt bhi hai jab Ramadhan mein bimaari ke al’awa koi aur uzr rakhta ho aur Ramadhan ke ba’d woh uzr door ho jaaaye aur aa’enda saal ke Ramadhan tak bimaari ki wajah se roze na rakh sake.

  12. Agar koi shakhs kisi uzr ki wajah se Ramadhan mein roze na rakhe aur Ramadhan ke ba’d ooska uzr door ho jaaye aur woh aae’da saal tak amdan roze ki qaza na baja laye to zaruri hai ke rozo ki qaza kare aur har din ke liye ek mad ta’am faqeer ko de.

  13. Agar koi shakhs qaza roze rakhne mein kotahi kare hatta ke vaqt tangi mein oose koi uzr pesh na aa jaaye to zaruri hai ke rozo ki qaza kare aur ehtayaat ki bina par har ek din ke liye ek mad ta’am faqeer ko de. Agar uzr door hone ke ba’d musammam iraada rakta ho ke woh rozo ki qaza baja laayega laikin qaza baja lane se pahle tang vaqt mein oose koi uzr pesh aa jaaye to oos suurat mein bhi yahi hukm hai.

  14. Agar insaan ka marz chand saal lamba ho jaaye to zaruri hai ke tandurust hone ke ba’d aakhri Ramadhan ke chhute hue rozo ki qaza baja laaye aur iis se pahle ke maahe mubarak ke har ek din ke rozo ke liye ek madd ta’am faqeer ko de.

  15. Jis shakhs ke liye har roze ke a’vaz ek madd ta’am faqeer ko dena zaruri ho woh chand dino ka kaffaara ek hi faqeer ko de sakta hai.

  16. Agar koi shakhs Ramadhan ki rozo ki qaza karne ke liye kayi saal tak takheer kar de to zaruri hai ke qaza kare aur pahle saal mein takheer karne ki bina par har roze ke liye ek mad ta’am faqeer ko de laikin baaqi kayi saal ki takheer ke liye oos par kuch bhi waajib nahi hai.

  17. Agar koi shakhs Ramadhan ke roze jaan bhoojh ke na rakhe to zaruri hai ke oon ki qaza baja laaye aur har din ke liye do mahine roze rakhe ya 60 faqeero ko khaana khilaaye ya ek ghulaam azaad kare agar a’enda Ramadhan tak oon rozo ki qaza kare to ehtayaat-e-laazim ki bina par har din ke liye ek mad ta’am kaffara bhi de.

  18. Agar koi shakhs jaan bhoojh ke Ramadhan ka roza na rakhe aur oon mein kayi dafa’’ jama’a ya istimna kare to kaffara takraar nahi hoga. Aise hi agar kayi dafa’ koi aisa kaam kare jo roze ko baatil karta ho maslan khaana khaaye tab bhi ek kaffara kaafi hai.

  19. Baap ke marne ke ba’d bade bete par ehtayaat-e-laazim ki bina par zaruri hai ke baap ke rozo ki qaza oosi tarah baja laaye jaise ki namaaz ke silsile mein massla no. 1371 mein tafseel se bataya gaya hai. Woh yeh bhi kar sakta hai ke har din ke badle750 gram khana kisi faqeer ko de. Chahe waariso ke raazi hone ki suurat mein mayyat ke maal hi se de.

  20. Agar kisi ke baap ne Ramadhan ke rozo ke al’awa koi aur waajib roze maslan manati roze na rakhe ho ya agar baap kisi ke rozo ke liye ajeer bana ho aur oosne woh roze na rakhe ho to oon rozo ki qaza bete par waajib nahi hai.


Musaafir ke rozo ke ehkaam

  1. Jis musaafir ke liye safar mein chaar rak’ati namaaz ke bajaye do rak’at namaaz padhna zaruri ho oose roza nahi rakhna chahiye laikin woh musafir jo poori namaaz padhta ha maslan jiska pesha hi safar ho ya jiska safar kisi na jayez kaam ke liye ho to zaruri hai ke safar mein roza rakhe.

  2. Ramadhan mein safar karne mein koi harj nahi laikin roze se bachne ke liye safar karna makruh hai. Yahi hukm har safar ka hai ba juz oos safar ke jo Hajj, Umrah, ya kisi aur zaruri kaam ke liye ho.

  3. Agar Ramadhan ke rozo ke al’awa kisi khaas din ka roza insaan par waajib ho agar woh roza ijaare ya ijaare ke ma’nind kisi wajah se waajib hua ho ya ikhtelaaf ke dino mein se teesra din ho to oos din safar nahi kar sakta aur agar safar mein ho aur agar theherna mumkin ho to to zaruri hai ke 10 din ek jagah qayaam karne ki niyyat kare aur oos din ka roza rakhe laikin agar oos din ka roza mannat ki wajah se waajib ho to zaahir yeh hai ke oos din safar karna jayez hai aur qayaam karne ki niyyat karna waajib nahi. Agarche behtar yeh hai ke jab tak safar karne ke liye majboor na ho safar na kare aur agar safar mein ho qayaam karna ki niyyat kare aur agar safar mein ho 10 din theherne ka iraada kare.

  4. Agar koi shakhs mustahab roze ki mannat mane laikin oos ke liye din mo’yyin na kare to woh shakhs safar mein aisa mannati roza nahi rakh sakta. Laikin agar mannat mane ke safar ke dauraan ek maqsus din roza rakhega to zaruri hai ke woh roza safar mein rakhe neiz agar mannat mane ke safar mein ho ya na ho ek maqsus din ka roza rakhega to zaruri hai ke agar safar mein ho tab bhi oos din ka roza rakhe.

  5. Musaafir talab-e-haajat ke liye Madina-e-tayyaba mein teen din mustahab roze rakh sakta hai aur ehwat yeh hai ke woh teen din Budh, Jumeraat aur Juma ho.

  6. Koi shakhs jise ‘ilm na ho ke musaafir ka roza rakhna baatil hai, roza rakh le aur din hi din mein yeh hukm-e-massla ma’loom ho jaaye to ooska roza baatil hai. Laikin agar maghrib tak hukm na mal’oom ho to ooska roza sahi hai.

  7. Agar koi shakhs yeh bhool jaaye ke woh musaafir hai ya yeh bhool jaaye ke musaafir ka roza baatil hota hai aur safar ke dauraan roza rakh le to ehtayaat ki bina par ooska roza baatil hai.

  8. Agar rozedaar zohur ke ba’d safar kare to zaruri hai ke ehtayaat ki bina par roze ko tamaam kare aur is suurat mein roze ki qaza karna zaruri nahi aur agar zohur se pahle safar kare to ehtayaat ki bina par oos din ka roza nahi rakh sakta hai khasusan jab raat hi se ooska iraada safar karne ka ho. Laikin har suurat mein Hadd-e-tarrakhus tak aisa koi kaam nahi karna chahiye jo roze ko baatil karta ho warna ooska kaffara waajib hoga.

  9. Agar musafir khwah woh Ramadhan mein fajr se pahle safar mein ho ya roze se ho aur safar kare aur zohur se pahle apne watan pohoonch jaaye ya aisi jagah pohoonch jaaye jahan woh 10 din qayaam karna chahta ho aur oosne aisa koi kaam na kiya ho jo roze ko baatil karta ho to zaruri hai ke oos din ka roza rakhe aur is suurat mein ke roze ki qaza bhi nahi aur agar koi aisa kaam kiya jo roze ko baatil karta ho to oos din ka roza oospar waajib nahi aur zaruri hai ke ooski qaza kare.

  10. Agar musafir zohur ke ba’d apne watan pohoonche ya kisi aisi jagah pohoonche jahan woh 10 din qayaam karna chahta ho ehtayaat-e-waajib ki bina par ooska roza baatil hai aur zauri hai ke ooski qaza kare.

  11. Musaafir aur woh shakhs jo kisi uzr ki wajah se roza na rakh sakta ho ooske liye Ramadhan mein jama’a karna aur paet bahr kar khaana makruh hai.


Download 2,25 Mb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   ...   20   21   22   23   24   25   26   27   ...   41




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2025
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish