Is kuche men nahin ab nishan koi mere yaar ka, Kaho, kab janaza utha tha yahan se bahaar ka



Download 372,76 Kb.
bet1/4
Sana21.05.2017
Hajmi372,76 Kb.
#9362
  1   2   3   4


1.
Is kuche men nahin ab nishan koi mere yaar ka,

Kaho, kab janaza utha tha yahan se bahaar ka,


Wo ulfat ke qaail hi nahin, jo yeh na samjhen,

Naazuk hota hai dil bahot, dil na dukhana dildaar ka,


Maidan e jung bhi kya khel hai nirala, dekho,

Hafize men koi suraagh nahin girte sawaar ka,


Banti nazar aati hai sirf garam baazar yeh duniya,

Koi to batao kya hoga aapasi sar o kar ka,


Na hui aashnayi gar tanhai se teri,

Ai aalim, kya hoga phir tere afkaar ka,


Aate raho, ai nafas, musalsal ho ravani,

Kya hoga varna kaho, 'sahil' ke kaarobaar ka.


2.
Tukhm e taskeen men pareshani kyon,

Yaqin ke pehlu men hairaani kyon,

Jab zehr pilaati hai tu, ai zeest,

Phir peeri men bata jawani kyon.


3.

Nazar aata hai saraab to usi ki jaanib chalta chal,

Na sahi haqeeqat dil men uski umeed to hai,
Kal kya tha aur  kal kya hoga, pareshan  hota hai kyon,

Nahin hai kuch manane ko kam az kam eid to hai,


Kabhi humsafar they  sanam, hum nawa bhi they,

Na sahi us tarannum men,  yaad wo nasheed to hai,


Kaasa uski sarwat hai faqir hai uska naam,

Shaikh wo saail kum nahin , jiska ek mureed to hai,


Gunah se apne aagah hun  'Sahil' main  zurur,

Dil men lekin har dum pukhta, hai kalaam e majeed.


4.
Chal chalen khet men 'Sahil' dekhen kya boya hai tu ne,

Waqt per na seench kar dekhen kya khoya hai tu ne ,


Bharam  tera gulshan men hai, ruswa tu hai nahin,

Gar daagh tere daaman per na they , daaman kyon dhoya  tu  ne,


Sada lauh aur saadagi jab yehi hai pechaan teri,

Mahal bana kar ghar ko apne zar se kyon sajoya tu ne,


Maana tu mukhlis hai sab ka, raqib aur ghair kya,

Per baar kyon auron ka apne, kaandhon per dhoya hai tu ne,


Zaalim  hai yeh dunya 'Sahil' khuftah hi main raazi tha,

Kyon kia bedaar mujhko, kyon na chhorda soya tu ne.


5.

Na yaqin chahiye na gumaan chahiye,

Mujhe to saatwaan aasmaan chahiye,
Kya karunga main le kar nakhuda tumhara,

Kashti ko meri baadbaan chahiye


Kab kaha hai main ne raah hamwaar ho,

Bas navazish ho ya rab, zeest aasaan chahiye,


Nasheb O faraaz khub samajhta hun main,

Per waqt to khudaya  meharbaan chahiye,


Mahabat ko yaro mahabat chahiye,

Na dil chahiye na jaan chahiye,


Sabhi ko dosto wisaal chahiye

Sumundur ko bhi darya rawaan chahiye


Hairan  hai wo dekh kar  tujhe,

Ke hayat ko bhi 'Sahil' dil jawaan chahiye.

6.

Kyon
Kyon nahin



Kya kyon ke baghair

Zindagi nahin,

Sukun

Sukun nahin



Kya sukun ke baghair zindagi nahin,

Aziat


Dushwaari

Qisse hain zindagi ke,

Subh

Shaam


Hisse hain zindagi ke,
Sawaal

Jawaab


Khalal hain zahn ke,

Kh-moshi


Taskeen

Farzaanagi dahn ki,


Shak

Gumaan


Vahm har qadam per,

Yaqin rakho tum

Rab ke karam per.
Darya ki ravaani lab e darya dekhi,

Bas, rukey na 'Sahil', kabhi ravani teri.


7.
Nazar aata hai saraab  to usi ki jaanib chalta chal,

Na sahi haqeeqat dil men uski umeed to hai,


Kal kya tha aur kal kya hoga, pareshan hota hai kyon

Nahin hai kuch manane ko kam az kam eid to hai,


Kabhi humsafar they ai sanam, hum nawa bhi they,

Na sahi us tarannum men yaad , wo nashid to hai,


Kaasa uski sarwat hai, faqir hai uska naam,

Shaikh wo saail kum nahin, jiska ek mureed to hai


Gunah  se apne aagah hun, ai 'Sahil', main zurur,

Dil men  lekin har dum pukhta, kalaam e majeed to hai


9.
Jo zamin per na bana sakey apna yaar koi,

Chalen hain falak per banane naqsh o nigaar koi,


Qabul hai aziat jab hukm hai tera , lekin,

Hausile se zyada na dena khudaya aazaar koi,


 Jab dekhte hain jahan men iman ko bhi bikte

Na dikhao tum hamen garmiye bazaar koi,


Jisey deho hai mahv munafaqat men aaj,

Kyon nahin hai sadaqat ke ghode per sawaar koi,


Samjhe they badlenge log aqdaar apne,

Aate nahin nazar hamen is baat ke aasar koi,


Aulaad, aulaad hai 'Sahil',daraad na aaye koi,

Na samjha shajar ne latakte samar to baar ko

Nahin jinhen koi qadr hamari,

Khush rahen 'Sahil' hai dua hamari.


10.
Gar mai e naab mil jaaye to sharab ka kya karen,

Lagi ho gar bhookh to aab ka kya karen,


Dagmate qadam hain per dil hai jawaan,

Phir sitaron ka bhala hisaab kya karen,


Baar uthana hai hum hi ko waqt ka apna,

Kya batoren ab saamaan, asbaab ka kya karen,


Na shak na gumaan, pukhta hai imaan,

Per, kaho arzu e sawaab ka kya karen,


Har su hai aandhi biyaban men nasheman,

Ab tumhi kaho  gulaab ka kya karen,


Chalo bhula dete hain 'Sahil', Lahore ki wo galian,

Per koi yeh to bataye, tassavur e chenaab ka kya karen.

              
 11.

 

Zindagi bata tera payaam kya hai,



Khub jaante hain hum tera anjaam kya hai,
Wafaat hai jab muqqadar tera,

Tu hi bata yeh khayal e dawaam kya hai,


Jab mahabat, dosti wabastagi hai zeest,

Samjhaye phir koi jazba e inteqaam kya hai,


Neki ka dastur subhan allah,

Koi yeh to bataye inaam kya hai,


Nasha nasha hai mai ke aalam men,

Surahi ke aage yeah jaam kya hai,


Maula ki riza bin nahin hilta hai patta,

Phir yeh bata vaaiz haraam kya hai,


Sajde karta hai tu aur yaad khuda ko,

Ai insaan phir bandon ko salaam kya hai,


Takhallus hai 'Sahila' yeh jaante hain hum,

Yeh to bata dost tera maqaam kya hai.


12.

      


Tu kya kashti chalayega

Mallah to koi aur hi hai,

Kya baqa aur kya qaza

Zeest to bas ik daur hi hai.


Jisey kehte ho tum khizaan yaro,

Wo bhi baharon ki muntazir hai,

Jis dil men basti hai kiran umeed ki

Woh zakhmi hi to mera jigar hai


13.

Maa Ki Mamta


Yaad aayi jab bhi maa ki

Jee bhar kar hum bhi roye,

Neend jab aayi  udti udti

Haule haule hum bhi soye.


Ma ki mamta anokhi  hai

Jaisi bhi ho , ma hi hai,

Gudda gudiya hum sab uske

Humko  khil khil hansati hai.


Daant dapat kar suna kar lori,

Pariyon se wo milati  hai,

Jeena mushkil unke bin hai

Yaad uski bhi satati hai.


Sun lo bhaiya baat hamari

Ma ki mamta anokhi hai,

Rus bhi jaayen phir bhi to

Wohi hamen manaati hai.


Maa ki mamta anokhi hai

Rusne  walo yaad rahe,

Pee jaati hai ansoo apne
Dukh apne wo jhelti hai,

Maa ki mamta anokhi hai.


Jab jab yaad aayi mujhe ma ki

'Sahil', mushkil se main soya hun,

Yaad men teri main ne, Maa

Apna jeewan bitaya hai.


14.
Kar fana  ghurur zahan se,

Dekh kya moti milte hain,

Kitna bada hai shajar tujhse,

Phir bhi, patte haule haule hiltey hain.


Ki jo neend haraam kisi ki

Milegi phir maafi nahin,

Dukh na dena tu  kisi ko

Ke 'sorry' kehna kaafi nahin.


Pand na de 'Sahil' tu

Jo kehta hai kar ke deekha,

Chhord dunya ko haal per apne

Dunya ko tu mat seekha.


15.
Phadphadaati  jaan tu ud ja,

Zamin se aasmaan , tu ud ja,


Raah taaban karenge taare,

Ab chhord yeh jahan, tu ud ja,


Naayaab hai khayal , meri jaan

Kar fana yeh majaaz armaan, tu ud ja,


Muqaddas hai bulandi us baargaah ki,

Rehta hai jismen la  makaan, tu ud ja,

 

'Sahil', har rooh hai  mehmaan yahan,



Ai phadphadati jaan , tu ud ja.

16.
Wo jo kal na jaane kis ke sahare they,

Aaj zamin per bikhare wo kal ke sitare they,
Unki aahen, wo  ansoo, aankhon ki nami,

Wo armaan ai 'sahil' kya wo bhi tumhare they,


Na puchhna us se jiska thama ho haath,

Gehra kitna tha paani, dur kitne kinare they,


Wo bhi kya ghazab ke nazare they, logo,

Barasti thi falak se shabnam, jab zamin pe  angaarey they,


Baat to thi un girte sitaron ki  'sahil',

Kya tu ne yeh na socha, shayad wo qismat ke maare they.,


Neend nahin aati yaro koi darmaan to batao,

Ab kahan se laaun us maa ki god, wo shab, jo mere gehwaarey they.


17.

Kya hua hai  'Sahil' is zamane ko aaj

Bhule hain log maazi aur fasane ko aaj,
Kis qadar be hiss hain log, dekhiye

Koi patthar bhi nahin maarta  deewane ko aaj,


Masruf hai jaane yeh insan kahan, shughal iska kya,

Fursat jisey nahin hai soney ki na sulane ki aaj,


Mujhe mere haal pe chhordo main deewana hun,

Yeh fikr e daroon bahot hai dil ke behlane ko aaj,


Ud gaye qafas se mere sab parinde ab,

Nahin hai koi bacha 'Sahil', paas bulane ko aaj.

18.
Khamosh kyon hai ai dil kuch baat kar,

Gar sawaal hain tere to sawalaat kar,


Dekh li hai teri raushani, ai aftaab, hum ne,

Muntazir hain khwabon ke, ab raat kar,


Maghfirat, jannat, arsh e bareen o mojize,

Aaj eid hai vaaiz koi nayi baat kar,


Majbur ho jayen aane per farishte,

'Sahil', tu paida aise kuch haalaat kar,


Khuftah mat reh dost uth jaag zara,

Subh ki baang ke maalik se mulaqaat kar.


19.
Baat asl kar vaaiz nahin sun ni hai dastaan,

Haqeeqat hain sitaare baaten karni hain aasaan,


Kya khwahishon ka hona fitrat nahin hai,

Bata kahan tak dafnaye inhen yeh insan,


Khanabadosh hun main aaj, ai mir e kaarwaan,

Le jaaun kahan khud ko main aur kahan yeh saamaan,


Kis kis ka karen shukria ada hum dosto,

Jab thaam lia raah men hum ne mila jo daamaan,


'Sahil', khush rahen kis tarah dekh kar jahan ko,

Ro raha hai chaman aaj ro raha hai aasmaan.


20.
lamhe ki ek zindagi hai

Pinhaan usi men bandagi hai,


Waqt ko dijiye aap pur ehtiraam,

Usi men aapki farzaangi hai


Khuzu men hi teri aala hai

Ai bande, khushu men hi mardaangi hai,


Is rukti ka ghari ka kya karun,

Waqt men hi to ravaangi hai,


Main rahun na rahun koi baat nahin,

Ibadat hi meri deewaangi hai,


'Sahil', mat suna mujhe daastaan tu

apni Khamoshi men hi bulandgi hai,


Kar le parastish maula ki dost

Usi men teri tawaangi hai.


21.
'Sahil' kabhi zabt tha mera aisa mai o jaam per,

Ke hanste tha main kabhi dil e na kaam per,


Gharq aisa tha main teri ibadat men maula,

Ke yaqin na hua kabhi ehsaas e dawaam per,


Parvaaz is qadr thi ruswayi ki jaanan,

Ke gumaan hua mujhe, tere sar e baam per,


Saada lauh rahi aisi tabiyat meri,

Ke iman na raha mera harf e gulfaam per,

Dil de kar main raha bahot pasheman, 'sahil',

Ke dil dia us ne to bas mere naam per.


22.
Zamane huay hain , 'sahil' zara soch,

Guftagu dil se kiye huay, zara soch,


Sogwaar hai kyon kuch to bata, ai shaair,

Armaan kis ke kab kaamil huay hain, zara soch,


Har haal men tujhe khush rehna hai, dost,

Ke mehfil men aaj adu bhi shaamil huay hain,


Munafiq hai jahan, doghle ho gaye hain log,

Ehsan faramosh aur zaalim huay hain,


Hum kya karenge yaar ghar tere aa kar,

Tujh se to tere apne bhi, be dil huay hain,


Kin faraaiz ki zikr ho raha hai,

Zimmedari se to apni log ghafil huay hain.


23.
''Zindagi kya hai anasir men zuhar e tarteeb,

Maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona",


Nahin hoti naseeb shikebayi sab ko,

Ai darya , muqqadar hai tera rawaan hona,


Sun le 'sahil', maqsad-e-dua kya hai

Teri mushkilon ka bas aasaan hona,


Ai farishta e ajal kaash tu bhi samjhe,

Laazim hai jazba e javidaan hona,


Aarzu ka hona jibilli hai 'sahil',

Hayat ki maahyat hai armaan hona,


24.
Muddat hui hai 'sahil', zara soch,

Guftagu dil se kiye huay, zara soch,


Sogwaar hai kyon bata, ai shaair,

Armaan kis ke kab kaamil huay hain, zara soch,


Rehna hai tujhe har haal men khush baash,

Ke mehfil men adu bhi shaamil huay hain zara soch,


Munafiq hai jahan, log do ru ban gaye hain,

Ehsan faramosh aur zaalim huay hain, zara soch,


Zamana badla hai aaj dekho kaise,

Jo they kabhi baladast kaahil huay hain, zara soch,


Hum kya karenge munkir ghar aa kar tere,

Tujh se to tere apne bhi be dil huay hain, zara soch,


'Sahil', kyon faraaiz ki baat karta hai tu,

Zimmedari se apni log ghafil huay hain, zara soch.


25.
'Sahil', mat suna mujhe daastaan tu apni,

Ke khamoshi men hi bulandagi hai,


Har lamhe ki ek zindagi hai

Aur pinhaan usi men bandagi hai,


Waqt ko dijiye aap pur ehtiraam,

Ke usi men aapki farzaanagi hai


Khuzu men hi teri alaa hai

Ai bande, khushu men hi mardaangi hai,


Is rukti ka ghari ka kya karun kaho,

Waqt men hi to ravaangi hai,


Main rahun na rahun koi baat nahin,

Ibadat hi meri deewaanagi hai,


Kar le parastish maula ki dost

Usi men teri tawaanagi hai.


26.

Har su hai boseedagi na aashna hai sab,

Kya yeh mera hi ujda shahar hai
Gulsitan wohi, gul wohi, baghbaan bhi wohi

Aisa na tha veeran kabhi kya yeh mera hi shaar hai,


Na thi aisi haal ki kabhi sahil

Kya yeh meri hi dekhi hui lehar hai,

Sawaad wohi, uqaab wohi, chaman bhi wohi,

Wo rang kuch aur they kya yeh mera hi dagar hai.


Jaane sa lagtr hain zurur dar-o-deewar iske

Per koi to batao, kya yeh mera hi ghar hai


Dubo diye hain safiney jis ne aah sunte huay,

Kya wo meri hi kal ki nahar hai,


Shab se shanasayi to hai per qadeem

Koi to bata do kya yeh wohi sehr hai


Yaro jis tarah se chaho dekho

Per yeh to meri hi nazar hai.


Junoon wohi hum wohi per kuch to hai badla

Bata 'Sahil', tu hi bata, kya yeh mera hi jigar hai.


27.
Wo tum theen ya hawa thee,

Simoom thi ya saba thi,

Jo jhonke de kar guzar gayi,

Wo tum na theen to wo kya thi,

Wo thum thee ya hawa thi?
Jo haule haule aati thi,

Dabey paon jo jaati thi,

Chhord kar jo mehak apni,

Meri neendon ko bulati thi,

Wo tum theen ya hawa thi?
Haqeeaqat thi ya kahani thi,

Tum thi ya darya ki ravaani thi,

Jo chhord kar tanha mujhe,

Behr ki deewani thi,

Wo tum theen ya hawa thi?

Wo dil tha ya jaan thi,

Na tha, ya haan thi,

Hum takte reh gaye 'Sahil',

Kya wo zaalim thi ya naadaan thi,

Wo tum theen ya hawa thi?


28.
Haseen raat guzarne ko aaye to kya kijiye,

Aur subh khafa ho jaaye to kya kijiye,


Hum to roothe hain us se dil dukhaya hai jisne,

Gar wo khud manane aaye to kya kijiye.


Jee to kar raha hai jaanaan taare mil kar ginen

Khwaab aa kar lalchaaye to kya kijiye,


Saraabon ki duniya se bahot dur rahey hum,

Gar haqeeqat hi nazar na aaye to kya kijiye,


Chal bhul jaate hain 'Sahil', haqeeqat hum apni,

Per dil se khayal na jaaye to kya kijiye.


29.
Parwaaz hi to ism hai zindagi ka,

Aakhir baad e marg bhi to 'Sahil', parwaz hi hai.


30.
Le mazaa 'Sahil' tu mauseeqi se shanasayi ka,

Aakhir lutf kya milega baad e marg, shehnai ka,


Kya paayega tu bata daanayi se,

Gar shauq nahin hai tujhe apni, tanhai ka ,


Dete hain log dhoka per khud hi ko

Jo mafhum, nahin samajte paak wafai ka,


Le ajal se zeest dars tu shikebayi ka

Shauq nahin hai mujhe teri raftar e purwayi ka,


Haif, Kyon jaate hain log garm bazaron men yaro,

Jab lim nahin hai unhen mehangahyi ka,


Karna hai qabul mujhe khuda ke huzurn men,

Batam kya karega, ai munsif, tu meri gawahi ka,


Kyon haath pakarte hain log bewafai ka,

Jab koi chaah nahin hai ulfat ko, ruswai ka,


Kyon padhta hai tu ghazal , ai 'Sahil' , bata,

Jab saleeqa nahin hai tujhe ghazal sarayi ka.


31.
Kar fana  ghurur zahan se,

Dekh kya moti milte hain,

Kitna bada hai shajar tujhse,

Phir bhi, patte haule haule hiltey hain.


Ki jo neend haraam kisi ki

Milegi phir maafi nahin,

Dukh na dena tu  kisi ko

Ke 'sorry' kehna kaafi nahin.


Pand na de 'Sahil' tu

Jo kehta hai kar ke deekha,

Chhord dunya ko haal per apne

Dunya ko tu mat seekha.


32.

Bade ho kar daanah hote hain,

Bad tameez aur be ehtiraam hotey hain,

Khudaya , tere nanhe se wo bachche isi tarah,

Bade ho kar badgumaan bhi hote hain
33.
Kya kijiye gar dil hi apna mastana ho,

Be bas hai shama gar parwana hi deewana ho,


Us tabassum ka lutf kya ayega kaho,

Jis chehre ka shughal hi muskana ko,


Raah dikhla saqi kisi aur khumgaah ki,

Wo khanabadosh nahin jiska ghar, tera thikana ho,


Us se kya jeetega tu baazi bisaat ki,

Aabginaah hi jiska hadaf o nishana ho,


Usey nahin hai khauf koi, qaza se yaro,

Farishta e ajal se jiska dostana ho,


Wo kya hovega kisika, ai yaar zara soch,

Jo khud hi se na waaqif aur begana ho,


Kya khaak ji hai zindagi us ne 'Sahil',

Hayaat jiske liye sirf jeene ka bahana ho.


34.

Mahabat kar ke dekh li raqabat bhi to dekh lun,

'Sahil', jabeen per shikan yaar ki, qahr bhi to dekh lun,
Jalwa e shab, raunaq e sham'a, jalta hua parwana,

Dekh chuka hun yeh tamashe, rang e sehar bhi to dekh lun,


Na rok saka waqt ko na  uski main raftaar  ko,

Ab behta paani  dekh lun, ravaani nahar ki dekh lun,


Mai pila, mai e naab pila, jo pila sukun pila,

Nahin to saqi teri khumgah men, zahr bhi pi kar dekh lun,


Jabal dekhe, raagh dekhe, iram  ke  baagh   dekhe,

Sahil dekha, tufaan dekhe, ab behr bhi to dekh lun,


Shab dekhi, subh dekhi, aftab ki   mehar  bhi dekhi,

Ghurub  honey se qabal 'Sahil', do pahar bhi to dekh lun.


35.

Wo jo kal na jaane kis ke sahare they,

Aaj zamin per bikhare wo kal ke sitare they,
Unki aahen, wo  ansoo, aankhon ki nami,

Wo armaan ai 'sahil' kya wo bhi tumhare they,


Na puchhna us se jiska thama ho haath,

Gehra kitna tha paani, dur kitne kinare they,


Wo bhi kya ghazab ke nazare they, logo,

Barasti thi falak se shabnam, jab zamin pe  angaarey they,


Baat to thi un girte sitaron ki  'sahil',

Kya tu ne yeh na socha, shayad wo qismat ke maare they.,


Neend nahin aati yaro koi darmaan to batao,

Ab kahan se laaun us maa ki god, wo shab, jo mere gehwaarey they.


36.
Kya hua hai  'Sahil' is zamane ko aaj

Bhule hain log maazi aur fasane ko aaj,


Kis qadar be hiss hain log, dekhiye

Koi patthar bhi nahin maarta  deewane ko aaj,


Masruf hai jaane yeh insan kahan, shughal iska kya,

Fursat jisey nahin hai soney ki na sulane ki aaj,


Mujhe mere haal pe chhordo main deewana hun,

Yeh fikr e daroon bahot hai dil ke behlane ko aaj,


Ud gaye qafas se mere sab parinde ab,

Nahin hai koi bacha 'Sahil', paas bulane ko aaj.

37

Safar e zindagi men 'Sahil'  tanha hi chalte   ja,



Kabhi to milega kahin tujhe tera muntazar khuda,

 

 Sair e gulshan, rang e mai, donon men hai mazaa,



Hote hain khaar har gaam per bhi yaad rahe hamesha,

 

Tere dil men kyon hai khauf musafir zara sach to bata,



Jaan apni ki fikr hai tujhe khwah auron ki bata,

 

Shajar se kaha  barg ne udte huay aaj,



Phir  milen ya na milen hai maula  ki riza,

 

 Bhatak na jaana 'Sahil' tu raah e khuda se kabhi,



Kiya hai tu ne khud se dost vaada yeh pukhta.

 

38.



 

Shor e gul o hungama nahin to bazaar nahin,

Jo lut gaya bazaar men wo kharidaar nahin,

 

Kitna ajab hai ravaiya mere yaar ka , dekhiye,



Sach per yaqin nahin, jhoot per ikhtiyar nahin,

 

Gulaab wo dikhao to maanen tumhen,



Mehak to ho jis men   per  koi khaar nahin,

 

Har tukhm men zinda ek gul bhi hai,



Khazan wo dikhao jis men muntazar bahaar nahin,

 

 Isi shab ke lamhe ko zeest maante  hain  hum,



Tuloo e aftaab  per hamen  aitbaar nahin,

 

'Sahil'  tu hi samjha daanaayi e hayat kya hai,



Kya wohi zinda hai jis ke sar pe junoon savaar nahin ?

 

39.



 

Tu'lu e aaftab, khazan o bahaar ke naam,

Aaj ki shaam rang e mai, tere ruksar ke naam,

 

Tere khutbe se ho kar be zaar saqi,



Hum ne ki yeh shab mai khwaar ke naam,

 

Shikebaayi mubarak ho tumhen yaro,



Hum to karte hain hayaat hawa sawaar ke naam,

 

Dekhe hain gul o gulshan is jahan ke bahot,



Socha, kyon na ki jaaye yeh raat harf e khaar ke naam,

 

Badi zaalim hai zabaan shamsheer hai yeh,



Kijiye isey  shireen guftaar ke naam,

 

Gunahgaar hai tu bande daamaan pur daagh,



Kar jaan nisaar apni tu ibraar ke naam,

 

Log karte hain basar zeest jaan apni ke liye,



Lo, hum ne to ki 'sahil', jaan dildaar ke naam.

 

40.



 

Mushkil nahin aap Hayaat ki aasani dekhiye,

Raftaar e darya nahin us ki ravaani dekhiye,
Jism se Lagao kaisa woh to khaak hai yaro,

Milo rooh se apni jo la faani hai dekhiye


Tuloo e aaftaab se tuloo e mahtaab tak,

Roz o shab ki yeh meharbani dekhiye


Maana ke zindagi ek Safar hai dosto,

Per bin maqsud yeh be maani  hai dekhiye,


Aarzu, tamanna, kwahish, insaani hain,

Jo dil se uthe aah woh roohani hai dekhiye,


Dur sahi dost dil men to hai,

Yeh bhi nishan e pasbani hai dekhiye,


Vaasta nahin umr se zinda dili ka 'sahil',

Gar dil jawan hai to jawani dekhiye


41.
Khamiyazah Utahana bhi fan hai 'sahil',
Asaan nahin hai pashemani,
Subh to hogi, aftaab tul'oo bhi,
Per kahan hai wo ubharti jawab,

Jawani men vaaiz tajurba kahan hai,


Samajh Le isey tu nadaani,
Dekh tu josh darya ka jabal per,
Phil dekh us ka taskin our paani,

Ladkhate qadam, larazti zabaan,


Har nafas hi samajhiye jaawidaani,
Haqeeqat se ghafil, nazar falak per,
Kabhi maante they khud ko la faani,

Kya lete naseehat kisi se hum vaaiz,


Jab Teri bhi hum ne nahin maani,
Kar le qabool tu bhi, ai nadaan,
Zindagi hai zaalim o deewaani,

Jo rehta hai haafize men kisi ke,


Ik din wo bhi to hoga faani,
Ajab hai yeh armaan Har insan ka yahan,
Baad e marg reh jaaye koi nishani,

Khamashi be zubaani nahin hai,yaro,


Khamashi hi hai firasatdaani,
Shajar Ko dekhiye wo khamosh hai kaise,
'Sahil', khamoshi hai asl zindagaani.
42.
Sitaron se uncha hai jahan ek aur,

Falak se uncha hai aasmaan ek aur,


Teri neki bhi dekhi hai shaikh hum ne,

Per, tujh se bhi uncha hai mehrban ek aur,


Bagh e iram ki  kar le tu sair jab chaahe,

Per us se bhi uncha hai gulsitan ek aur,


Yaro, aahen bhareen zindagi men bahot,

Abhi baaqi hai lekin fughaan ek aur,


Kisey bataun raaz main apne,

Sab se uncha to hai raazdaan ek aur,


Sun le yeh purani kahani 'sahil',

Suna dunga tujhe main daastan ek aur.


43.
Aaj  kh-mosh kyon hai 'sahil' bata khaama tera,
Kya zeest hai tujh se khafa?
Likhte reh dost yehi zindagi hai,
Rukne ka naam hai qaza.

44.


Download 372,76 Kb.

Do'stlaringiz bilan baham:
  1   2   3   4




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish