Is kuche men nahin ab nishan koi mere yaar ka, Kaho, kab janaza utha tha yahan se bahaar ka



Download 372,76 Kb.
bet2/4
Sana21.05.2017
Hajmi372,76 Kb.
#9362
1   2   3   4

Aasaan nahin hai marz e dil ka darmaan
Roka hai kis ne kabhi tufaan e armaan,

Beh jaate hain sab valvalon men kaise


Na sahil na kashti na roke yeh jahan,

Nahin dhulte hain daagh aasani se jo


Lag jaate hain jab, paak jitna ho daamaan,

Jaise hote hain pinhaan abr men aansu


Waise hoti hai aag jahan hota hai dhuaan,

Na khao qasam khuda ki tum yaro


Gar yaqin nahin hai aur pukhta imaan,

Pareshaan kyon hai, ai dost, bata,


Koi raaz to hai tere baatin men nihaan,

Us dil men khilenge gul kya batao


Jis dil ki basti ho dasht o veeraan,

Kya maangta hai tu us ghafoor se insaan


Jo har waqt hai sab per har dum meharbaan,

    


Na khumgaah na ma'bad na jahan koi aur,

  'Sahil',woh dil men basa hai, justaju hai kahan.


45.
Nahin rukegi kabhi yeh baad e saba

Jaise roz o shab jaise kaali ghata,


Jaise hota hai gharq aab men sahil

Jaise karta hai waqt har shai ko fana,


Garajte hain baadal chamakti hai bijli

Kabhi uthta hai jaise koi valvala,


Aa jaati hai jaise raaton ko neend

Khwabon men hoor  aur  kabhi bala,


Kar le dua maghfirat ki, ai dost

Haqeeqat hain donon, saza o jaza,


'Sahil', dost to bante hain jahan men bahot

 Per sab se aala hai dost, woh sabka khuda.


46.

Gulshan wo dikhao jis men khaar na ho

Us khazaan se milao jis men bahaar na ho,
Har aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai

Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho,


Do raaha umeed o beem hai duniya

Adavat wo dikhao jis men pyaar na ho


Nimrud se mat puchho, tumhin batao

Kya koi hai aisi naar jis men gulzaar na ho,


Dhalta hai suraj bhi sumundar tale

Koi lail wo dikhao jis men nahaar na ho,


Iblees bhi to 'sahil' jannat se gira tha

Do rukhah hai jahan, tu be zaar na ho.


Dars is men dosto hai sab ke liye

Koi raah nahin aisi jo kabhi hamwaar na ho


47.
Tanhai se dur jaana chahta hu

Kisi bheed men kho jaana chahta hun

Sahar ka kya bharosa 'sahil'

Is waqt to sona jaana chahta hun.


48.
Ajab hai zindagi, ajab is ke rang

Kahin jashn aur kahin janaza,

Turfa kaisa hai yeh tamasha 'sahil'

Mehr kahin aur kahin khamyazah
49.
Subh hoti hai sham hoti hai, umr yun hi tamaam hoti hai'',

Tanhayi hi to 'sahil' kul sar o samaan hoti hai,


Gharq hota hai insaan udaasi men jab hi

Dil ki nagri jab us ki veeraan hoti hai,


Main milta hun khud se falak ke taley

Per milti hai taskin jab raat sunsaan hoti hai,


Faramosh hai jo bhi haqeeqat se us ki

Us ghaafil ke liye muezzin ki azaan hoti hai,


Jiske ragon men ravaan ho lahu imaan ka,

Usi hi per to qismat meharbaan hoti hai,


Ajal se na darna tu 'sahil' kabhi

Himmat e mardaan to har dum jawaan hoti hai.


50.
Kya chahiye kisi ko gar humnava  naazneen miley,

Na shams o qamar na sitaare, ik mahjabeen miley.
'Gulon men rang bharey baad e nau bahaar chale'

Phir mujhe aur mere dildaar ko pur taskeen miley,


Har hijaab men pinhan gar ho haya,

Har jaame ko phir aasteen miley,


Dil chaahe jahan wahan kar lo parvaaz,

Bas paon ko har ja zamin miley,


Yeh bhi na bhulna dosto,

Ke yahan bhi gauhar behtareen miley,


Need aati hai jab ro ro kar mujhe,

Umeed rakhta hun khwab haseen miley,


Qusur nazar ka hai baaghban ka nahin,

Gulshan men gul gar ghamgin miley,


Chehcahana hai fitrat parindon ka,

Insan ko kh-moshi se tamkeen miley,


Falak ke age yaad rahe tujhe 'sahil',

Udnewaale ko arsh e bareen miley.


51.
Karte hain dua hum ghairon ke liye

Kabhi hum per bhi koi mehraan to ho


 Kotahi nahin hai sama'at men lekin,

Shakhsiyat men shirin zaban to ho,


Har ja hai ma'bad, har ja khuda,

Kaash , is jahan men koi  insan  to ho,


Sitare falak men raushan to hain,

Dekhnewala bhi koi qadr daan to ho


Dilchaspi nahin hai karwaan se mujhe,

Per rehne ka koi aashian to ho,


Kar lenge safar aasitan ka bhi 'Sahil',

Batin men sadaqat o irfan to ho.


52.
Fikr kisey hai shaikh tere qahr ki

Barsengi boonden mujh per mehr ki


Imaan hai pukhta har shai khuda ki

Zarurat nahin , kisi agar magar ki


Raah dikhata  hai maula mujhe,

Talaash kyon ho kisi aur dagar ki


Yeh aziat  ki shab  guzar jaayegi

Bar qaraar hai dil men umeed sahar ki


Main khush hun logo naao men apni,

Mujhe justaju nahin kashti e behr ki


Sukun hai  sookhe sahil per mujhe

Koi chaah nahin hai kisi  lehar ki.


Umr guzri hai yaro baahon men subh ki ,

khwahish nahin hai ab kisi do pahar ki,


 Nahin jaana hai  koh e toor ko 'Sahil',

 Kashish  nahin mujhe kisi sehr ki,


53.
Thokaren khaayin to wo bhi daanista,

Ke saabir na thi raftar, na ahista,


Hasraten theen kuch aisi, ai 'sahil' Teri,

Armaan kuch aise Jo na they shaaista,


Pagdandion per chalne ka shauq ho jisey,

Nazar aata nahin usey haq ka raasta,


Mahal na banao tum reg per logo,

Halka tufaan karega haal phir khasta,


Na uthe Jo dil se usey dua kya maanen,

'Sahil' chor baazari ka saamaan to Hota hai sasta.

54.

Nahin rukegi kabhi yeh baad e saba



Jaise roz o shab jaise kaali ghata,
Jaise hota hai gharq aab men sahil

Jaise karta hai waqt har shai ko fana,


Garajte hain baadal chamakti hai bijli

Kabhi uthta hai jaise koi valvala,


Aa jaati hai jaise raaton ko neend

Khwabon men hoor  aur  kabhi bala,


Kar le dua maghfirat ki, ai dost

Haqeeqat hain donon, saza o jaza,


'Sahil', dost to bante hain jahan men bahot

 Per sab se aala hai dost, woh sabka khuda.


55.
Subh hoti hai sham hoti hai, umr yun hi tamaam hoti hai'',

Tanhayi hi to 'sahil' kul sar o samaan hoti hai,


Gharq hota hai insaan udaasi men jab hi

Dil ki nagri jab us ki veeraan hoti hai,


Main milta hun khud se falak ke taley

Per milti hai taskin jab raat sunsaan hoti hai,


Faramosh hai jo bhi haqeeqat se us ki

Us ghaafil ke liye muezzin ki azaan hoti hai,


Jiske ragon men ravaan ho lahu imaan ka,

Usi hi per to qismat meharbaan hoti hai,


Ajal se na darna tu 'sahil' kabhi

Himmat e mardaan to har dum jawaan hoti hai.

56.
Kya chahiye kisi ko gar humnava  naazneen miley,

Na shams o qamar na sitaare, ik mahjabeen miley.


'Gulon men rang bharey baad e nau bahaar chale'

Phir mujhe aur mere dildaar ko pur taskeen miley,


Har hijaab men pinhan gar ho haya,

Har jaame ko phir aasteen miley,


Dil chaahe jahan wahan kar lo parvaaz,

Bas paon ko har ja zamin miley,


Yeh bhi na bhulna dosto,

Ke yahan bhi gauhar behtareen miley,


Need aati hai jab ro ro kar mujhe,

Umeed rakhta hun khwab haseen miley,


Qusur nazar ka hai baaghban ka nahin,

Gulshan men gul gar ghamgin miley,


Chehcahana hai fitrat parindon ka,

Insan ko kh-moshi se tamkeen miley,


Falak ke age yaad rahe tujhe 'sahil',

Udnewaale ko arsh e bareen miley.


57.
Karte hain dua hum ghairon ke liye

Kabhi hum per bhi koi mehraan to ho


 Kotahi nahin hai sama'at men lekin,

Shakhsiyat men shirin zaban to ho,


Har ja hai ma'bad, har ja khuda,

Kaash , is jahan men koi  insan  to ho,


Sitare falak men raushan to hain,

Dekhnewala bhi koi qadr daan to ho


Dilchaspi nahin hai karwaan se mujhe,

Per rehne ka koi aashian to ho,


Kar lenge safar aasitan ka bhi 'Sahil',

Batin men sadaqat o irfan to ho.

58.
Fikr kisey hai shaikh tere qahr ki

Barsengi boonden mujh per mehr ki


Imaan hai pukhta har shai khuda ki

Zarurat nahin , kisi agar magar ki


Raah dikhata  hai maula mujhe,

Talaash kyon ho kisi aur dagar ki


Yeh aziat  ki shab  guzar jaayegi

Bar qaraar hai dil men umeed sahar ki


Main khush hun logo naao men apni,

Mujhe justaju nahin kashti e behr ki


Sukun hai  sookhe sahil per mujhe

Koi chaah nahin hai kisi  lehar ki.


Umr guzri hai yaro baahon men subh ki ,

khwahish nahin hai ab kisi do pahar ki,


 Nahin jaana hai  koh e toor ko 'Sahil',

 Kashish  nahin mujhe kisi sehr ki,


59.


Bulbul naghma na sunaya to kya kijiye

Aur bahaar rooth jaaye to kya kijiye


Hum to kho jaayen 'Sahil', khwabon men zurur,

Khayal unka sataye to kya kijiye,


Jahan saara hai waqif, tanhia se meri

Dil unka na samajh paaye to kya kijiye


Taakheer na hui daanista, maana humne,

Per bahana dil na behlaye to kya kijiye,


Jis pyaar se sulaya shab na aaj yaro,

Aftaab hi na jagaye to kya kijiye,


Be baha hain ashk, hai iska mujhe paas

Per dil kambakht hi bhar aaye to kya kijiye,


Bharosa karun kis per is zamaan men , kaho,

Jab gehwara hi na jhulaaye to kya kijiye,


Yaqin hai mera mohkam imaan per 'Sahil'

Per jee ghabraya to kya kijiye

Tareek hai shab , mah o anjum nihaan,

Phir, sham'a bujh jaaye to kya kijiye,


Adu ho muaalji ko kya kijiye

Naar  paani ko jaaye to kya kijiye.


Jiski rakhte hain yaad hafize men mahfiz

Wo hamen hi bhulaye to kya kijiye


Baadah nosh farmane ka shauq to nahin,

Koi mai e naab pilaye to kya kijiye.

60.
Rooh e Raavi Tu Darya Nahin, Meri Jaan Hai
Reg e Raavi tu surma e nazar hai,

Dilon men tu har dum albasar hai,


Rag rag men daurti hai tere, maasumiat,

Tu zamane ke taghaiyuraat se be khabar hai,


Pehlu men tere jis ne sajde na kiye,

Wo ravani key jaane Jo khaak basar hai,


Ilm kisey hai reg e ravaan ka, yaro

Doob jaata hai sahil, wo kh-mosh o be khabar hai,


Aaj siyaasi hai zamana is qadar dosto

Lekin, reg e Raavi to siyasat se be khabar hai,


Ek umr guzri hai, Raavi, tujhe dekhe huay,

Phir bhi lagta hai kyon tu ba wafa humsafar hai,


Tajurba kisey hai kaho aab e Kausar ki taskeen ka, Per,

lab e Raavi na raha koi tishna, ke wo gauhar hai,


Darya ka shor o ghul hota hai ghairon ke liye,

Mere liye to 'sahil', Raavi ka sukoot to anmol Jauhar hai.


61.
So ja sahil muntazir hain be hisaab aaj khwab tere

Milenge phir tujhe zurur muntazar jawab tere,
Dasht o sahra hashn bana le, raagh to hain shadaab tere,
Kya bigadenge tera behr ke tufan kabhi,

Sahil hai tu, mitate hain pyaas jab sailab tere,


Haasil hai  safiney ko jab raahat tere kinaron per,

Kyon rakhe bata koi kotahi ke hisab tere,


Mutayyan hain do farishte shaanon per tere,

Dekhte hain jo ghaur se neki o sawab tere,


Sarkash na ho, ai baghban, mausam hi hai bahaar ka,

Pazmurda hote varna yeh dilkash gulab tere,


Hum to aye sair karne tere dasht o gulshan ki khuda,

Turfa hai jahan tera tu hi jaane nisab tere,


Tafakjur mujhe kis bat ka hai, sarwat hai be kar,

Jab jahan hai tera, ai khudaya, mah o anjum o aftab tere,


Kar basar ai bande, tu maula ki ibadat men,

Mil jayenge khaak men kaakh o asbaab tere,


Likhte reh, ai sahil' tu, hayat teri isi men hai,

Padhta hun main baar ha likhe huay baab tere.


Shireen  rakh alfaaz tu 'Sahil' zaalim hai zamana bahot,

Bhulega yeh mauseeqi teri aur yeh rubaab tere.


Haqeeqat  jo bhi to teri, suhane hain saraab tere,

Dasht o sahra haseen bana le raagh  to  hain shaadaab tere,

62.
Na sar pe saya na zer e pa zamin hai,

Ishq e junoon bhi kya shai haseen hai,


Tishna phirta hai insan daar ba dar, haif !

Jab sookhe sahil ko har dum taskin hai,


Takte ho kyon kehkashan ko tum,

Zamin per bhi insan parveen hai,


Aarzu hai tumhari falak tak,

Per uske aage to arsh e bareen hai,


Haq hai tujhe bhi ai munkir,

Per mera to pukhta yaqin hai,


Raasti ki rah per chal, ai musafir,

Isi men sab talqeen hai,


Kya karenge hum ''sahil' ma'bad ka,

Sajdon ke liye to jabeen hai.

63.

Kahe 'Ghalib' jo kahe



Har dil ka mareez bemaar nahin hai
Zindagi koi karobaar nahin hai

Har subh koi bahaar nahin hai,


Taskin hai to sahìl per,

Sahil ke us paar nahin hai,


Qasd men kotahi ka

Taqdeer zimmedar nahin hai,


Duniya ek bazaar hai yaro,

Per har koi kharidaar nahin hai,


Ulfat hai bunyaad uski,

Ghar koi dar o deewaar nahin hai,


Hamdard ka hona achha hai,

Per hamdardi koi pyaar nahin hai,


Miley bahot jahan men 'sahil',

Per tujh jaisa dildaar nahin hai.


Chaah zurur hai  surur ki,

Per 'sahil' koi maikhwar nahin hai.


Kahe 'Ghalib' jo kahe

Har dil ka mareez bemaar nahin hai


Kya maaroge tanz se mujko,

Yaro, zaban koi talwaar nahin hai.


Zindagi koi karobaar nahin hai

Har subh koi bahaar nahin hai,


Taskin hai to sahìl per,

Sahil ke us paar nahin hai,


Qasd men kotahi ka

Taqdeer zimmedar nahin hai,


Duniya ek bazaar hai yaro,

Per har koi kharidaar nahin,


Ulfat hai bunyaad uski,

Ghar koi dar o deewaar nahin hai,


Hamdard ka hona achha hai,

Per hamdardi koi pyaar nahin hai,


Miley bahot jahan men 'sahil',

Per tujh jaisa dildaar nahin hai.


Chaah hai sabko surur ki,

Per har koi yaan maikhwar nahin hai,


Rind bhi aur paarsa bhi,

Tera yeh shiaar nahin hai.

64.
Zindagi hai badi suhani, 'sahil',

Jaise darya ki ravani, 'sahil',

 

Kar gunah phir pashemani yaro,



Zindagi hai kya deewani 'sahil',
Shabaab tha shabab kitna,

Peeri bhi kya veerani, 'sahil',


Har roz har shab hai baab ek,

Khuda ka karam aur meharbani, 'sahil',


Sun le khitaab vaiz ke tu,

Kar li hai tu ne manmaani, 'sahil',


Raftaar e hawa yaksaan nahin hoti,

Banti hai saba aur kabhi tufaani 'sahil',


Haal men jeena hi firasat hai,

Bhula hai

maazi ki jawaani 'sahil'.

65.
Gulshan kahun chaman kahun ya gulzaar kahun,

Mausam kahun faza kahun ya bahaar kahun
Nizaam o rumooz kaun samjhe tere, khudaya,

Malamat kahun dost kahun ya khaar kahun,


Dasht o sahra men bhi to khilte hain kabhi phul,

Kya kahun biyabaan kahun ya gulzaar kahun,


Mukhtalif hain rang kitne zameer ke, ai logo,

Khuftah kahun be zaar kahun ya be daar kahun,


Baazi kahun ghaazi kahun ya haar kahun,

Shajar kahun samar kahun ya baar kahun,


Ajab hain kitne zaban ke bhi ausaaf dekh, 'sahil',

Khateeb kahun shireen kahun ya talwaar kahun.

66.
'Sahil', bata kya  likhoon  kya kahoon,

Zahn khaali hai jism hai zaboon,


Waahid hun, khuda ek hai sabka,

Geeta padhun, Quran padhun ya Anjeel padhun,


Kaari hai bahot yeh ishq e junoon,

Kabhi zinda kabhi rab per marun,


Mit te nahin daagh ruswayi ke kabhi,

Chalta phirta hun main liye sar nigoon,


 Basa hai dil men jo hai maula mera,

Raah wo bata jo mujh men hai daroon,


 Tu saaqi hai jahan ka khumgaah hain tere,

Ji chahta hai maalik mai e naab piyoon,


Mehfil bhari hai, raushan hain dil ,

Ragon men kyon daurta hai veerani ka khoon,


Anjaam zindagi ka to qaza hai 'Sahil',

Jo laazim hai jahan men main us se kyon darun,


Naseehat main deta hun to khud ko, dosto,

Yahan sab to hian mualij kis kis ki sunoon

67.
Nauha e bulbul
Dil udaas hai bahot maayus hai chaman,

Tark kia bulbul ne aaj mera nasheman,


Hamsafar thi wo bulbul raah e zeest per,

Haseen they rang uske, gul jaisa badan,


Behlaya dil jisne gul o gulshan ka har roz,

Ehsaas bhi dilaya, kya shai hai apna pan,


Num hai chashm, dil men khaar si khalish,

Baaghban ko dekhiye, dekhiye rota saman,


Kahan hai wo bulbul kuch to kaho,

Muztarib hai ji mera, bahot udaas hai mera man,


Kyon sajaye baithe ho kafan tum, parindo,

Daaim hai naghma us ka, khayal tumhara soo e zan,


Chhord gayi hai bulbul aaj be bas o tanha,

Ji chaahta hai 'sahil', baar ha ho darshan,


Marsiya na padh baazgasht hai sada uski,

Kahan paayega koi aisa hunar o fan,


Mahabat thi us se, usey yaad kyon na karun,

Saari umr na hui yaro, kabhi us se an ban.


68.
Kuch dikhana hai 'sahil' to taare dikha

Saath unke per qismat ke maare dikha,


log ta'awun ke karte hain daawe magar,

Jo dete hon kaandha wo sahare dikha,


Mat dikha koi ghubarey udte huay,

Falak men tu raushan sayyare dikha


Mat dekh ainey men khud ko tu jaanan,

Mujhko gesu tu apne sanwaare dikha,


Nahin aati hai neend, ai 'sahil', mujhe

Meri tifli ke mujhko gehware dikha.


Mat dikha tu parwaane jalte huay,

Bas, sham'a ke mujhko angarey dikha,


 Turfa, jahan ke nazare na  dikha,

Bas humko hamare tu pyaare dikha


Dekh liye hain yahan ke behr  o bar sab,

Aab e kausar ke ab favvarey dikha.

_____________________________
69.
'Sahil', kabhi kotahi na ho faseehat men koi,

Dar purdah e gharaz na ho naseehat men koi,


Pehchanta hun gulon ko gulshan men main apne,

Gul kya hain batao baagh e jannat men koi,


Masrufiat hai itni har bashar ko yahan,

Kaash, kabhi milney to aaye mujhe fursat men koi,


Jaise hota hai ravaan aab e darya, yaro,

Vaise rukaavat na ho dil ki harkat men koi,


Pashemaan hun khudaya magar hun main khaaif,

Gunah mere na hon haail, teri nemat men koi,


'Sahil', haq men tere main maangta hun dua,

Kabhi mazahamat na ho teri sehat men koi


70.

Gulzaar nahìn har ja dekhiye baazaar hai,

Har gul ka naam aaj yahan khaar hai,
Mafhum bahaar ka hua karta tha kuch aur,

Aaj khazan ke yaan hi kul bahaar hai,


Na khud ki pehchaan na jaan kisi ki,

Sab ke sar per junoon aisa sawaar hai,


Na tabassum koi na labon pe muskaan,

Jis dil ko dekho wo dil figaar hai,


Do qalb yak jaan hua karte they kabhi,

Aaj mahabat men bhi kaisa pindaar hai,


Bikta hai insan bikta hai imaan,

Har shai ka yahan kharidaar hai,


Kho gaya hai kahan wo bashar kal ka,

Poojte hain usey aaj jo sarmaya daar hai,


Na fikr Geeta ki na Quran ka lihaaz,

Ibadat nahin 'sahil', aaj sarvat se sarokaar hai,


Na kosiye kisi ko na qismat ko kabhi,

Ai be-haal bande tu khud hi to zimmedaar hai.


71.
Jab sar jhuka dia 'Sahil' riyazat to ho chuki,

Zamin bos kyon ho jabeen jab ibadat to ho chuki,


Na zer e pa ho aabla na daaman pe ho koi daagh,

Phir dekh lia jis ne tujhe, naseehat to ho chuki,


Aya tufaan sahil per aaj, aa kar wo laut gaya,

Sahil ki kya tareef karun, nahmat numa to ho chuki,


Khayega tu thapede, shaikh, sumundur ke zurur,

Sambhal  ja  ab bhi, tu, lehar to ja chuki,


Sun ne aya hun main vaaiz khutba tera aaj,

Suna de baat kuch aur ab, firasat to ho chuki,


 Maanta nahin hai hukm tera bashar tera hi, maula,

 Qahar dikha, isey samjha, nemat to ho chuki.


Yaad kar khuda ko 'Sahil', lalahzaar ko dekh kar,

Waqt hai ab ibadat ka shahadat to ho chuki.

72.

Mushkil
Mushkil hai 'Sahil' dil ka lagana,



Mushkil hai jaise bahana banana,
Mushkil hai jaise bulbul sa gaana,

Hai udaas dil ko jaise manana,


Baaten banana to aasaan hai yaro,

Mushkil hai dilkash daastan sunana,


Charagh  ko bujhana  mushkil nahin,

Mushkil  hai   raakh men aag lagana


Asbaab jahan ke fuzul hain 'Sahil' '

Na mumkin hai saath inhen le jaana.


73.

Mahav hota hai andhera to mahz ujalon se

Ghazal banti hai 'sahil' to sirf khayalon se,
Alfaaz se izhaar aur raushan tar bhi hai,

Lekin ulfat hoti hai ayaan to  nigahon se,


Nahin hota hai hukm se qusuwaar koi,

Ai Shaikh, karna padta hai sabit gawahon se,


Kami hai kyon aaj ragon men, logo,

Kya lahu milta hai sirf jung ke maidanon se?


Na milna chaho na milo, marzi tumhari hai,

Dosto, ukta gaya hai jee woh bahanon se,


Khudaya, bande sab hain banaye tu ne,

Phir pehchaane kyon jaate hain  zabanon se?


Shab o roz, zulmat aur ujala teri badaulat,

Kyon darte hain log khuda ra,imtehanon se?


Biyabaan bhi tere, makhluqaat bhi teri

Khauf kyon hai dilon men veeranon se,


Aarifana hai mizaaj 'sahil' ka, dekhiye

Bayaan hota hai yeh us ke sawalon se.

74.

Apni aulaad se zyada  pyara  kya hai,



Ma ki god se behtar gehwara kya hai,

                                                                                                                                                                                                                               

Jis ne  khud ko sajaane men umr guzaari,

Us ne  khaak ke siwa sanwaara kya hai,


Mamnoon e karam hain tere khudaya,

Phir kya batayen tujhe hamara kya hai.


Jab maula hai mallah kashti ki sab ka,

Kya tufaan aur kinara kya hai,


Mah o anjum bhi hain sayyare, dosto,

Phir, tum hi batao aawaara kya hai,


Faani hai sab kuch, koi to samjhaye,

Jaavidaan kya hai, sahara kya hai,


Inkaar hai tujhe, yeh haq hai tera,

Per, yeh bata munkir tujhe gawara kya hai,


Gar noor na ho khuda ka 'Sahil' ,

Tu hi bata, aftaab  kya aur sitara kya hai.


76.

Jisey pehchan na sakun wo chehra kya hai,

Jis men   dekh lun main sab kuch wo kuhra kya hai,
 Lehron ki  nazakat, maujon ka shor o gul,

Jo num na karey  sahil ko wo thapeda kya hai,


Ghumta phirta hai jo, le kar wo saanp,

Maar e aasteen nahin hai to sapera kya hai.


Dil ke sholay na jalao, zulmat ko mat satao,

Gar dil raushan rahe to andhera  kya hai,


Andheron ne ghera ho jis,

Us be bas ka falak kya besera kya hai,


Jo reg e ravaan per banate hain ghar,

Koi puchhe un se dasht o sahra kya hai,


Hayat e karwaan ki kar fikr Mir, karwaan tera hai,

Main to chala jaunga ik roz , mera  kya hai,


Sabr ke pand na de , ai vaiz, yeh samjha,

Jo shab ko na tadpaaye , wo savera kya hai,


Tasbeeh ba dast, aur ku e yaar men,

Ai shaikh , yeh to bata maajra kya hai,


Rah e khuda per chalne ke  liye  tawakul chahiye,

Siva is ke yaro aasra kya hai. 


Jab tu tanha hi khush hai mehfilon men 'Sahil'.

Bata, phir anjuman kya, jazeerah kya hai.


77.
Rangeen kitni hai tabiyat uski , yeh to 'Sahil' hi jaane,

Dil kis per hai maail aaj, yeh bhi 'sahil' hi jaane,
Bahot hote hain charche yaan 'Sahil' ke aaj,

Aalim kitna hai wo yeh to 'sahil' hi jaane,


Girah dil men rumooz e talkh kitne, dil hi jaane,

Kitna gehra hai zakhm yeh to bismil hi jaane.


Raah paimaayi ki hum ne gaam hi se apne,

Kitni baaqi hai masafat,rah rau, yeh to manzil hi jaane,


Manzur thi saza be wafai ki usko, lekin,

Rahm kyon kiya zaalim ne, uska dil hi jaane,


Kiya jis ne maatam aur ashk bhi bahaye,

Usi ke haath men pathar , wo sang dil hi jaane,


Na tufaan, na talatum, na balaa koi aur,

Duba kyon tha sahil , yeh to haail hi jaane,


Kyon muqaiyyad hain be gunah koi to batao,

Jab salaasil hi na jaanen, phir 'sahil' kya jaane,


'Sahil', Janaaze ko diya kaandha larazte shaanon ne aaj,

Vazn kitna tha us khaak men, yeh to haamil hi jaane.


78.
'Sahil ' Se Ek Guftagu


 'Sahil', sahil nahin sumundar ban kar dikha,

 Phir girdaab se safiney ko bachaa  kar dikha,


Download 372,76 Kb.

Do'stlaringiz bilan baham:
1   2   3   4




Ma'lumotlar bazasi mualliflik huquqi bilan himoyalangan ©hozir.org 2024
ma'muriyatiga murojaat qiling

kiriting | ro'yxatdan o'tish
    Bosh sahifa
юртда тантана
Боғда битган
Бугун юртда
Эшитганлар жилманглар
Эшитмадим деманглар
битган бодомлар
Yangiariq tumani
qitish marakazi
Raqamli texnologiyalar
ilishida muhokamadan
tasdiqqa tavsiya
tavsiya etilgan
iqtisodiyot kafedrasi
steiermarkischen landesregierung
asarlaringizni yuboring
o'zingizning asarlaringizni
Iltimos faqat
faqat o'zingizning
steierm rkischen
landesregierung fachabteilung
rkischen landesregierung
hamshira loyihasi
loyihasi mavsum
faolyatining oqibatlari
asosiy adabiyotlar
fakulteti ahborot
ahborot havfsizligi
havfsizligi kafedrasi
fanidan bo’yicha
fakulteti iqtisodiyot
boshqaruv fakulteti
chiqarishda boshqaruv
ishlab chiqarishda
iqtisodiyot fakultet
multiservis tarmoqlari
fanidan asosiy
Uzbek fanidan
mavzulari potok
asosidagi multiservis
'aliyyil a'ziym
billahil 'aliyyil
illaa billahil
quvvata illaa
falah' deganida
Kompyuter savodxonligi
bo’yicha mustaqil
'alal falah'
Hayya 'alal
'alas soloh
Hayya 'alas
mavsum boyicha


yuklab olish